Qalaq Merathi

duri mein kyun ki ho na tamanna huzur ki

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
duurī meñ kyuuñ ki ho na tamannā huzūr kī
manzil ko merī qurb se nisbat hai duur kī
furqat ne us kī vasl kī tashvīsh duur kī
taskīñ nahīñ hai yuuñ bhī dil-e-nā-subūr kī
muusā ke sar pe paañv hai ahl-e-nigāh kā
us kī galī meñ ḳhaak uḌī koh-e-tūr kī
kahtā hai anjuman ko tirī ḳhuld mudda.ī
is bul-havas ke dil meñ tamannā hai huur kī
vaa.iz ne mai-kade ko jo dekhā to jal gayā
phailā gayā charāñd sharāb-e-tahūr kī
muusā ko kyuuñ na mauj-e-tajallī dhakel de
jalve se us ke gul huī mash.al shu.ūr kī
arbāb-e-vaqt jānte haiñ rozgār ne
kī sahv se vafā to talāfī zarūr kī
rusvā.iyoñ kā hausla ghaT ghaT ke baḌh gayā
sāmāñ hai ḳhāmushī mirī shor-e-nushūr kī
mel āsmāñ kā sū-e-zamīñ be-sabab nahīñ
zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ġhurūr kī
us se na miliye jis se mile dil tamām umr
sūjhī hameñ bhī hijr meñ āḳhir ko duur kī
pāmāl kar rahā hai siyah-roziyoñ kā josh
miTTī ḳharāb hai mire kalabe meñ nuur kī
kyā ek qurb-e-ġhair kā sadma na pochhiye
haiñ dil ke aas paas balā duur duur kī
mazmūñ mire uḌaa.e 'qalaq' sab ne is qadar
suntā huuñ maiñ tarāna zabānī tuyūr kī
Top Urdushayar.com