zindagī marg kī mohlat hī sahī
bahr-e-vāmāñda iqāmat hī sahī
dostī vaj.h-e-adāvat hī sahī
dushmanī bahr-e-rifāqat hī sahī
tuul dete ho adāvat ko kyuuñ
muḳhtasar qissa-e-ulfat hī sahī
rakh kisī vaz.a se ehsān kī ḳhū
mujh ko āzār se rāhat hī sahī
aap kā bhī nahīñ chhuTtā dāman
mere dar pe mirī shāmat hī sahī
āqibat hashr ko aanā ik din
ruuTh jaanā tirī aadat hī sahī
kuchh bhī ai baḳht mayassar hai tujhe
yā tajassus se farāġhat hī sahī
kūcha-e-ġhair meñ chal kar rahiye
gar nahīñ aish to hasrat hī sahī
yahī taqrīb-e-sitam ho ai kaash
har tarah ġhair se nafrat hī sahī
ab to uTh aa.e lahad se be-tāb
na sahī chaal qayāmat hī sahī
yādgārī kī koī baat to ho
maut apnī tirī ruḳhsat hī sahī
adl-o-insāf-e-qayāmat ma.alūm
āh-o-fariyād kī fursat hī sahī
ai 'qalaq' shukr-e-sitam be-jā kyuuñ
āh-o-fariyād kī fursat hī sahī