vahī  va.ada  hai  vahī  aarzū  vahī  apnī  umr-e-tamām  hai
vahī  chashm  hai  vahī  raah  hai  vahī  sub.h  hai  vahī  shaam  hai
vahī  ḳhasta-hāl  ḳharāb  hai  vahī  ḳhvāb  kushta-e-ḳhvāb  hai
vahī  zindagī  ko  javāb  hai  na  salām  hai  na  payām  hai
vahī  josh  nāla-o-āh  meñ  vahī  sho.ala  jān-e-tabāh  meñ
vahī  barq-e-yās  nigāh  meñ  jo  ḳhayāl  hai  so  vo  ḳhaam  hai
vahī  ḳhvāb-o-ḳhur  kī  talāsh  hai  vahī  jān-o-dil  meñ  ḳharāsh  hai
vahī  rañj-e-ġhair-e-ma.āsh  hai  mujhe  zindagī  bhī  harām  hai
vahī  hijr  dushman-e-vasl  hai  vahī  marg-o-zīst  meñ  fasl  hai
vahī  apne  shaġhl  se  shaġhl  hai  vahī  apne  kaam  se  kaam  hai
vahī  shaq  jigar  na  siyo  siyo  vahī  ziist  hai  na  jiyo  jiyo
vahī  ḳhūn-e-dil  na  piyo  piyo  vahī  baada  hai  vahī  jaam  hai
vahī  shauq-e-rāh  hai  rahnumā  vahī  jalva-gāh  hai  ruḳh-kushā
vahī  bazm-e-nāz  hai  jā-ba-jā  vahī  har  qadam  pe  maqām  hai
vahī  nīm-jāñ  dam-e-vāpsīñ  vahī  nāla-kash  suḳhan-e-hazīñ
vahī  yās-e-zīst  hai  dil-nashīñ  ki  zabāñ  pe  aap  kā  naam  hai
vahī  rañj  hai  to  yuuñ  hī  sahī  vo  'qalaq'  hī  thā  ki  yuuñ  hī  nibhī
mirī  aap  ko  bhī  hai  bandagī  mirā  ishq  ko  bhī  salām  hai