Qalaq Merathi

hai KHamoshi-e-intizar bala

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880

hai ḳhamoshī-e-intizār balā

ast hai ek chup hazār balā

dekh le ik nazar ki hai manzūr

sad-tabāhī o sad-hazār balā

dilbarī par hai jāñ-fazā be-dād

dil-dahī par hai jāñ-nisār balā

hijr meñ āsmāñ mudārā.ī

vasl meñ hai satīza-kār balā

kaj-kulāhī ham-nashīñ fitna

ḳham-e-gesū dost-dār balā

aa ga.ī sar pe āqibat aafat

ho ga.ī chashm-e-intizār balā

hai fidā mujh pe āsmāñ goyā

vaar vaar aa.ī baar baar balā

mujh pāmāl-e-rozgār hai kaun

ḳhajil aafat hai sharm-sār balā

daaġh mere dard-kash sadma

dard mere rāz-dār balā

sehn-e-gulshan sham-e-bazm hai barq

naujavānī hai bahār balā

ai 'qalaq' āsare kyā jiinā

zindagī hai ma.āl-e-kār balā

Top Urdushayar.com