Qalaq Merathi

matam-e-did hai didar ka KHwahan hona

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
mātam-e-dīd hai dīdār kā ḳhvāhāñ honā
jis qadar dekhnā utnā hī pashemāñ honā
saḳht dushvār hai āsān kā āsāñ honā
ḳhūn-e-fursat hai yahāñ sar-ba-garebāñ honā
terā dīvāna to vahshat kī bhī had se niklā
ki bayābāñ ko bhī chāhe hai bayābāñ honā
kūcha-e-ġhair meñ kyuuñ kar na banā.ūñ ghar ko
merī ābādī se ābād hai vīrāñ honā
ḳhāk-e-vahshī se agar rabt hai Thokar ko tirī
daur-e-dāman se nahīñ daur-e-garebāñ honā
na vo ḳhuuñ hī hai jigar meñ na vo rone kā dimāġh
mil gayā ḳhaak meñ har ashk kā tūfāñ honā
jī kā jī hī meñ rahā harf-e-tamannā afsos
kahnā kuchh aap hī aur aap pashemāñ honā
dil se andāz-e-shikan zulf ne sab jam.a kiye
chheḌ kar us ko kahīñ tū na pareshāñ honā
tujh ko armān-e-ḳharābī hai jo ai dehlī aur
siikh jā ghar meñ mire rah ke bayābāñ honā
dil hai ik qatra-e-ḳhūñ jis pe ye siina zorī
kuchh samajhtā hī nahīñ ham-saf-e-mizhgāñ honā
mujh meñ kuchh taab ho ai jaañ to maiñ be-tāb rahūñ
varna dushvār hai is raaz kā pinhāñ honā
yād-e-mizhgāñ se idhar zaḳhm-e-jigar par khānā
aur udhar shorish-e-dil se namak-afshāñ honā
aaj vo vaqt 'qalaq' par hai ki juuñ ibn-e-ḳhalīl
ġhair taslīm nahīñ qatl kā āsāñ honā
Top Urdushayar.com