aa.e kyā terā tasavvur dhyān meñ
kuchh se kuchh hai aan hī kī aan meñ
yaañ ishārāt-e-ġhalat par zindagī
vaañ adā hai aur hī sāmān meñ
teġh-e-qātil hai rag-e-gardan mirī
āb-e-paikāñ dam tan-e-be-jān meñ
yā to qātil ho gayā rahm-āshnā
yā paḌe hoñge kahīñ maidān meñ
ashk apne phir phirā kar har taraf
aa.e āḳhir tere hī dāmān meñ
haa.e kaise kaise vārasta-mizāj
sar-nigūñ dam band haiñ zindān meñ
ka.aba āñkhoñ meñ samātā hī nahīñ
kyā butoñ ne kah diyā kuchh kaan meñ
aañkh ke uThte hī uThte kuchh na thā
ham chale armān hī armān meñ
dair-o-ka.aba par nahīñ mauqūf kuchh
aur hī kuchh shaan hai har shaan meñ
girya-e-sad-sirrī aur ham kam-hausla
kashtī apnī aa ga.ī tūfān meñ
jannat o dozaḳh se kyā ummīd-o-bīm
hasrateñ sī hasrateñ haiñ jaan meñ
ḳhud-parastī aur islām-āfrīñ
ka.aba-e-āshiq hai kufristān meñ
ai 'qalaq' kal tak gadā-e-dair the
aaj da.ave ho ga.e īmān meñ