koī  kaisā  hī  sābit  ho  tabī.at  aa  hī  jaatī  hai
ḳhudā  jaane  ye  kyā  aafat  hai  aafat  aa  hī  jaatī  hai
vo  kaise  hī  chaleñ  tham  tham  qayāmat  aa  hī  jaatī  hai
bache  koī  kisī  Dhab  se  pa  shāmat  aa  hī  jaatī  hai
sitam  kar  ke  sitam-gar  kī  nazar  nīchī  hī  rahtī  hai
burā.ī  phir  burā.ī  hai  nadāmat  aa  hī  jaatī  hai
zuleḳhā  be-ḳhirad  āvāra  lailā  bad-maza  shīrīñ
sabhī  majbūr  haiñ  dil  se  mohabbat  aa  hī  jaatī  hai
charāġh-o-sham.a  bazm-e-yār  kar  kar  ġhair  ko  phūñkā
dil-e-afsurda  meñ  āḳhir  harārat  aa  hī  jaatī  hai
huā  nazroñ  hī  nazroñ  meñ  vo  mahshar  barq-e-sad-ḳhirman
mohabbat  kī  nigāhoñ  se  sharārat  aa  hī  jaatī  hai
pasīna  aa  gayā  un  ko  kiyā  va.ada  jo  aane  kā
burī  hai  naaz  bardārī  nazākat  aa  hī  jaatī  hai
har  ik  se  ab  vo  kahte  haiñ  ki  lo  ham  par  ye  marte  haiñ
jiyeñge  is  tarah  kab  tak  ki  ġhairat  aa  hī  jaatī  hai
nahīñ  kuchh  dil  kā  phirnā  ahd-e-dushman  se  tirā  phirnā
magar  kuchh  soch  kar  āḳhir  muravvat  aa  hī  jaatī  hai
na  hotī  gar  naved-e-marg  kyuuñ  kar  hijr  meñ  jiite
mohabbat  meñ  bhī  āsā.ish  pe  niyyat  aa  hī  jaatī  hai
visāl-e-ġhair  ke  qisse  ko  sun  kar  kyā  taḌaptā  huuñ
ye  armāñ  koī  jā  saktā  hai  hasrat  aa  hī  jaatī  hai
agar  sad-sāl  kiije  shukr-e-ulfat  kījiye  lekin
ye  vo  sheva  hai  bad-zan  phir  shikāyat  aa  hī  jaatī  hai
'qalaq'  ḳhat  ġhair  kā  kyuuñ  kar  na  aatā  kyuuñ  na  tum  paḌhte
qazā  likhī  huī  hazrat-salāmat  aa  hī  jaatī  hai