guzar  ga.ī  jo  chaman  par  vo  koī  kyā  jaane
jhaḌe  hue  haiñ  bahār-o-ḳhizāñ  ke  afsāne
jahāñ  pe  chāk-e-garebāñ  bhī  chāk-e-dil  ban  jaa.e
guzar  rahe  haiñ  ab  un  manziloñ  se  dīvāne
mire  laboñ  kā  tabassum  to  sab  ne  dekh  liyā
jo  dil  pe  biit  rahī  hai  vo  koī  kyā  jaane
tire  huzūr  jinheñ  kah  sakī  na  goyā.ī
mire  sukūt  ne  dohrā  diye  vo  afsāne
nigāh-e-ishq  meñ  dair-o-haram  kī  qaid  nahīñ
kahīñ  bhī  sham.a  jale  uḌ  chaleñge  parvāne
tamām  vus.at-e-kaunain  ko  Dubo  deñge
chhalak  ga.e  jo  kahīñ  us  nazar  ke  paimāne
na  ishtiyāq-e-nazāra  na  e'tibār-e-jamāl
Thahar  ga.ī  hai  kahāñ  zindagī  ḳhudā  jaane
na  sham-e-bazm  pe  kuchh  aañch  aa.egī  'iqbāl'
ḳhud  apnī  aag  meñ  jalte  raheñge  parvāne