vo  nigāhoñ  ko  jab  badalte  haiñ
dil  sambhāle  nahīñ  sambhalte  haiñ
manzileñ  duur  haiñ  kabhī  nazdīk
har  qadam  fāsle  badalte  haiñ
kaun  jaane  ki  ik  tabassum  se
kitne  mafhūm-e-ġham  nikalte  haiñ
na  guzar  itnī  kaj-ravī  se  ki  log
tere  naqsh-e-qadam  pe  chalte  haiñ
aag  bhī  un  gharoñ  ko  lagtī  hai
jin  gharoñ  meñ  charāġh  jalte  haiñ
jab  bhī  uThtī  hai  vo  nazar  'iqbāl'
sham.a  kī  tarah  dil  pighalte  haiñ