dāman-e-dil  hai  taar  taar  apnā
kaam  kar  hī  ga.ī  bahār  apnā
jab  se  taskīn  de  gayā  hai  koī
aur  bhī  dil  hai  be-qarār  apnā
dekh  kar  bhī  unheñ  na  dekh  sake
rah  gayā  shauq-e-intizār  apnā
justujū  aa  ga.ī  sar-e-manzil
rah  gayā  raah  meñ  ġhubār  apnā
vo  nazar  phir  ga.ī  to  kyā  hogā
us  nazar  tak  hai  e'tibār  apnā
is  kī  har  jumbish-e-nazar  ke  saath
ruḳh  badaltī  ga.ī  bahār  apnā
har-nafas  hai  unhīñ  kī  yaad  'iqbāl'
ġham  hai  kaisā  sadā-bahār  apnā