har  moḌ  na.ī  ik  uljhan  hai  qadmoñ  kā  sambhalnā  mushkil  hai
vo  saath  na  deñ  phir  dhuup  to  kyā  saa.e  meñ  bhī  chalnā  mushkil  hai
yārān-e-safar  haiñ  tez-qadam  ai  kashmakash-e-dil  kyā  hogā
ruktā  huuñ  to  bichhḌā  jaatā  huuñ  chaltā  huuñ  to  chalnā  mushkil  hai
ab  ham  pe  khulā  ye  raaz  chaman  uljhā  ke  bahāroñ  meñ  dāman
kāñToñ  se  nikalnā  āsāñ  thā  phūloñ  se  nikalnā  mushkil  hai
tābānī-e-husn-e-ālam  hai  garmi-e-mohabbat  ke  dam  se
parvāne  agar  mahfil  meñ  na  hoñ  phir  sham.a  kā  jalnā  mushkil  hai
nākāmi-e-qismat  kyā  shai  hai  kyā  chiiz  shikasta-pā.ī  hai
do-gām  pe  manzil  hai  lekin  do-gām  bhī  chalnā  mushkil  hai
yā  ham  se  pareshāñ  ḳhushbū  thī  yā  band  haiñ  ab  kaliyoñ  kī  tarah
yā  misl-e-sabā  āvāra  the  yā  ghar  se  nikalnā  mushkil  hai
likhte  rahe  ḳhūn-e-dil  se  jise  tā.īd-e-nigāh-e-dost  meñ  ham
'iqbāl'  ab  us  afsāne  kā  unvān  badalnā  mushkil  hai