baiTh  jaatā  hai  vo  jab  mahfil  meñ  aa  ke  sāmne
maiñ  hī  bas  hotā  huuñ  us  kī  is  adā  ke  sāmne
tez  thī  itnī  ki  saarā  shahr  suunā  kar  ga.ī
der  tak  baiThā  rahā  maiñ  us  havā  ke  sāmne
raat  ik  ujḌe  makāñ  par  jā  ke  jab  āvāz  dī
guuñj  uTThe  bām-o-dar  merī  sadā  ke  sāmne
vo  rañgīlā  haath  mere  dil  pe  aur  us  kī  mahak
sham-e-dil  bujh  sī  ga.ī  rañg-e-hinā  ke  sāmne
maiñ  to  us  ko  dekhte  hī  jaise  patthar  ho  gayā
baat  tak  muñh  se  na  niklī  bevafā  ke  sāmne
yaad  bhī  haiñ  ai  'munīr'  us  shaam  kī  tanhā.iyāñ
ek  maidāñ  ik  daraḳht  aur  tū  ḳhudā  ke  sāmne