apne  ghar  ko  vāpas  jaao  ro  ro  kar  samjhātā  hai
jahāñ  bhī  jā.ūñ  merā  saaya  pīchhe  pīchhe  aatā  hai
us  ko  bhī  to  jā  kar  dekho  us  kā  haal  bhī  mujh  sā  hai
chup  chup  rah  kar  dukh  sahne  se  to  insāñ  mar  jaatā  hai
mujh  se  mohabbat  bhī  hai  us  ko  lekin  ye  dastūr  hai  us  kā
ġhair  se  miltā  hai  hañs  hañs  kar  mujh  se  hī  sharmātā  hai
kitne  yaar  haiñ  phir  bhī  'munīr'  is  ābādī  meñ  akelā  hai
apne  hī  ġham  ke  nashshe  se  apnā  jī  bahlātā  hai