abhī  mujhe  ik  dasht-e-sadā  kī  vīrānī  se  guzarnā  hai
ek  masāfat  ḳhatm  huī  hai  ek  safar  abhī  karnā  hai
girī  huī  dīvāroñ  meñ  jakḌe  se  hue  darvāzoñ  kī
ḳhākistar  sī  dahlīzoñ  par  sard  havā  ne  Darnā  hai
Dar  jaanā  hai  dasht-o-jabal  ne  tanhā.ī  kī  haibat  se
aadhī  raat  ko  jab  mahtāb  ne  tārīkī  se  ubharnā  hai
ye  to  abhī  āġhāz  hai  jaise  is  pinhā-e-hairat  kā
aañkh  ne  aur  sañvar  jaanā  hai  rañg  ne  aur  nikharnā  hai
jaise  zar  kī  pīlāhaT  meñ  mauj-e-ḳhūn  utartī  hai
zahr-e-zar  ke  tund  nashe  ne  dīda-o-dil  meñ  utarnā  hai