nīl-e-falak  ke  ism  meñ  naqsh-e-asīr  ke  sabab
hairat  hai  āb-o-ḳhāk  meñ  māh-e-munīr  ke  sabab
ban  meñ  alāhidgī  sī  hai  us  ke  jamāl-e-sabz  se
daa.im  fazā  firāq  kī  shajar-e-pīr  ke  sabab
vus.at-e-shahr-e-tañg-dil  sarmā  kī  sub.h-e-sard  meñ
jaagī  hai  Dar  ke  ḳhvāb  se  sūrat-e-faqīr  ke  sabab
sahn-e-makāñ  meñ  shal  hai  dast-e-duā-e-āgahī
dil  meñ  hai  shauq-e-be-hisāb  had  kī  lakīr  ke  sabab
zaḳhm-e-vajūd  kī  davā  bas  vahī  āḳhirī  sadā
zinda  huuñ  jis  ke  shauq  meñ  sabr-e-kabīr  ke  sabab
sehr  hai  maut  meñ  'munīr'  jaise  hai  sehr-e-ā.ina
saarī  kashish  hai  chiiz  meñ  apnī  nazīr  ke  sabab