din  agar  chaḌhtā  udhar  se  maiñ  idhar  se  jāgtā
husn  saarā  mashriqoñ  kā  saath  mere  jāgtā
maiñ  agar  miltā  na  us  se  is  azal  kī  shaam  meñ
ḳhvāb  in  dīvār-o-dar  kā  dil  meñ  kaise  jāgtā
hai  misāl-e-bād-e-gulshan  jāgnā  us  shoḳh  kā
rañg  jaise  duur  kā  rañgoñ  ke  pīchhe  jāgtā
ab  vo  ghar  baaqī  nahīñ  par  kaash  us  ta.amīr  se
ek  shahr-e-ārzū  āñkhoñ  ke  aage  jāgtā
chāñd  chaḌhtā  dekhnā  behad  samundar  par  'munīr'
dekhnā  phir  bahr  ko  us  kī  kashish  se  jāgtā