Dar  ke  kisī  se  chhup  jaatā  hai  jaise  saañp  ḳhazāne  meñ
zar  ke  zor  se  zinda  haiñ  sab  ḳhaak  ke  is  vīrāne  meñ
jaise  rasm  adā  karte  hoñ  shahroñ  kī  ābādī  meñ
sub.h  ko  ghar  se  duur  nikal  kar  shaam  ko  vāpas  aane  meñ
niile  rañg  meñ  Duubī  āñkheñ  khulī  paḌī  thiiñ  sabze  par
aks  paḌā  thā  āsmān  kā  shāyad  is  paimāne  meñ
dabī  huī  hai  zer-e-zamīñ  ik  dahshat  guñg  sadāoñ  kī
bijlī  sī  kahīñ  laraz  rahī  hai  kisī  chhupe  tah-ḳhāne  meñ
dil  kuchh  aur  bhī  sard  huā  hai  shām-e-shahr  kī  raunaq  se
kitnī  ziyā  be-sūd  ga.ī  shīshe  ke  lafz  jalāne  meñ
maiñ  to  'munīr'  ā.īne  meñ  ḳhud  ko  tak  kar  hairān  huā
ye  chehra  kuchh  aur  tarah  thā  pahle  kisī  zamāne  meñ