zor  paidā  jism  o  jaañ  kī  nā-tavānī  se  huā
shor  shahroñ  meñ  musalsal  be-zabānī  se  huā
der  tak  kī  zindagī  kī  ḳhvāhisheñ  us  but  ko  haiñ
shauq  us  ko  intihā  kā  umr-e-fānī  se  huā
maiñ  huā  nākām  apnī  be-yaqīnī  ke  sabab
jo  huā  sab  mere  dil  kī  bad-gumānī  se  huā
hai  nishāñ  merā  bhī  shāyad  shash-jihāt-e-dahr  meñ
ye  gumāñ  mujh  ko  ḳhud  apnī  be-nishānī  se  huā
thā  'munīr'  āġhāz  hī  se  rāsta  apnā  ġhalat
is  kā  andāza  safar  kī  rā.igānī  se  huā