detī  nahīñ  amaañ  jo  zamīñ  āsmāñ  to  hai
kahne  ko  apne  dil  se  koī  dāstāñ  to  hai
yuuñ  to  hai  rañg  zard  magar  hoñT  laal  haiñ
sahrā  kī  vus.atoñ  meñ  kahīñ  gulsitāñ  to  hai
ik  chiil  ek  mumTī  pe  baiThī  hai  dhuup  meñ
galiyāñ  ujaḌ  ga.ī  haiñ  magar  pāsbāñ  to  hai
āvāz  de  ke  dekh  lo  shāyad  vo  mil  hī  jaa.e
varna  ye  umr  bhar  kā  safar  rā.egāñ  to  hai
mujh  se  bahut  qarīb  hai  tū  phir  bhī  ai  'munīr'
parda  sā  koī  mere  tire  darmiyāñ  to  hai