dil  ajab  mushkil  meñ  hai  ab  asl  raste  kī  taraf
yaad  pīchhe  khīñchtī  hai  aas  aage  kī  taraf
chhoḌ  kar  nikle  the  jis  ko  dasht-e-ġhurbat  kī  taraf
dekhnā  shām-o-sahar  ab  ghar  ke  saa.e  kī  taraf
hai  abhī  āġhāz  din  kā  is  dayār-e-qaid  meñ
hai  abhī  se  dhyān  saarā  shab  ke  pahre  kī  taraf
sub.h  kī  raushan  kiran  ghar  ke  darīche  par  paḌī
ek  ruḳh  chamkā  havā  meñ  us  ke  shīshe  kī  taraf
dūriyoñ  se  pur-kashish  haiñ  manzileñ  donoñ  'munīr'
maiñ  ravāñ  huuñ  ḳhvāb  meñ  nāpaid  qarye  kī  taraf