shaam  ke  maskan  meñ  vīrāñ  mai-kade  kā  dar  khulā
baab  guzrī  sohbatoñ  kā  ḳhvāb  ke  andar  khulā
kuchh  na  thā  juz  ḳhvāb-e-vahshat  vo  vafā  is  ahd  kī
raaz  itnī  der  kā  is  umr  meñ  aa  kar  khulā
ban  meñ  sargoshī  huī  āsār-e-abr-o-bād  se
band-e-ġham  se  jaise  ik  ashjār  kā  lashkar  khulā
jagmagā  uTThā  añdhere  meñ  mirī  aahaT  se  vo
ye  ajab  us  but  kā  merī  aañkh  par  jauhar  khulā
sabza-e-nau-rasta  kī  ḳhushbū  thī  sāhil  par  'munīr'
bādaloñ  kā  rañg  chhatrī  kī  tarah  sar  par  khulā