merī  saarī  zindagī  ko  be-samar  us  ne  kiyā
umr  merī  thī  magar  us  ko  basar  us  ne  kiyā
maiñ  bahut  kamzor  thā  is  mulk  meñ  hijrat  ke  ba.ad
par  mujhe  is  mulk  meñ  kamzor-tar  us  ne  kiyā
rāhbar  merā  banā  gumrāh  karne  ke  liye
mujh  ko  sīdhe  rāste  se  dar-ba-dar  us  ne  kiyā
shahr  meñ  vo  mo'atabar  merī  gavāhī  se  huā
phir  mujhe  is  shahr  meñ  nā-mo'tabar  us  ne  kiyā
shahr  ko  barbād  kar  ke  rakh  diyā  us  ne  'munīr'
shahr  par  ye  zulm  mere  naam  par  us  ne  kiyā