aa.ina  ab  judā  nahīñ  kartā
qaid  meñ  huuñ  rihā  nahīñ  kartā
mustaqil  sabr  meñ  hai  koh-e-girāñ
naqsh-e-ibrat  sadā  nahīñ  kartā
rañg-e-mahfil  badaltā  rahtā  hai
rañg  koī  vafā  nahīñ  kartā
aish-e-duniyā  kī  justujū  mat  kar
ye  dafīna  milā  nahīñ  kartā
jī  meñ  aa.e  jo  kar  guzartā  hai
tū  kisī  kā  kahā  nahīñ  kartā
ek  vāris  hamesha  hotā  hai
taḳht  ḳhālī  rahā  nahīñ  kartā
ahd-e-insāf  aa  rahā  hai  'munīr'
zulm  daa.em  huā  nahīñ  kartā