ek  maiñ  aur  itne  lākhoñ  silsiloñ  ke  sāmne
ek  saut-e-guñg  jaise  gumbadoñ  ke  sāmne
miTte  jaate  naqsh  dūd-e-dam  kī  aamad  raft  se
khulte  jaate  be-sadā  lab  ā.inoñ  ke  sāmne
hai  havā-e-sair-e-āb  aur  ajnabī  sī  sar-zamīñ
uḌ  rahī  hai  ḳhāk-e-kohna  sāhiloñ  ke  sāmne
aag  jaltī  hai  gharoñ  meñ  yā  koī  tasvīr  hai
yādgār-e-jurm-e-ādam  ḳhākiyoñ  ke  sāmne
dushmanī  rasm-e-jahāñ  hai  dostī  harf-e-ġhalat
aadmī  tanhā  khaḌā  hai  zālimoñ  ke  sāmne
chaar  chup  chīzeñ  haiñ  bahr-o-bar  falak  aur  kohsār
dil  dahal  jaatā  hai  in  ḳhālī  jag.hoñ  ke  sāmne
bātin-e-zardār  pur-asrār  hai  jaise  'munīr'
kān-e-zar  kī  band  haibat  mash.aloñ  ke  sāmne