itne  ḳhāmosh  bhī  rahā  na  karo
ġham  judā.ī  meñ  yuuñ  kiyā  na  karo
ḳhvāb  hote  haiñ  dekhne  ke  liye
un  meñ  jā  kar  magar  rahā  na  karo
kuchh  na  hogā  gila  bhī  karne  se
zālimoñ  se  gila  kiyā  na  karo
un  se  nikleñ  hikāyateñ  shāyad
harf  likh  kar  miTā  diyā  na  karo
apne  rutbe  kā  kuchh  lihāz  'munīr'
yaar  sab  ko  banā  liyā  na  karo