hai  us  gul-rañg  kā  dīvār  honā
ki  jaise  ḳhvāb  se  bedār  honā
batātī  hai  mahak  dast-e-hinā  kī
kisī  dar  kā  pas-e-dīvār  honā
use  rakhtā  hai  sahrāoñ  meñ  hairāñ
dil-e-shā.ir  kā  pur-asrār  honā
kamāl-e-shauq  kā  hāsil  yahī  hai
hamārā  shahr  se  be-zār  honā
firāq  āġhāz  hai  un  sā.atoñ  kā
hai  āḳhir  jin  kā  vasl-e-yār  honā
yahī  honā  thā  āḳhir  dasht-e-ġham  ko
hamāre  haath  se  gulzār  honā
mohabbat  kā  sabab  hai  be-niyāzī
kashish  us  kī  hai  bas  dushvār  honā
'munīr'  achchhā  nahīñ  lagtā  ye  terā
kisī  ke  hijr  meñ  bīmār  honā