chāñd  niklā  hai  sar-e-qarya-e-zulmat  dekho
ho  ga.ī  kaisī  siyah-ḳhānoñ  kī  rañgat  dekho
sāmne  jo  hai  use  aañkh  kā  dhokā  samjho
in  dayāroñ  ko  sadā  ḳhvāb  kī  sūrat  dekho
sair  hai  jaise  koii,  aise  jahāñ  se  guzro
duur  tak  phailā  hai  ik  arsa-e-furqat  dekho
zar  kī  parchhā.īñ  jo  paḌtī  hai  chamak  uThtā  hai
ādam-e-ḳhāk  kī  be-hoshī  meñ  hālat  dekho
ḳhauf  detā  hai  yahāñ  abr  meñ  tanhā  honā
shahr-e-dar-band  meñ  dīvāroñ  kī  kasrat  dekho
saaya  hai  un  pe  bahut  bhūlī  huī  yādoñ  kā
shaam  aa.ī  hai  parī-zādoñ  meñ  vahshat  dekho
daaġh  hai  is  ke  na  hone  se  diloñ  meñ  ab  tak
uḌ  gayā  misl-e-sabā  gul  kī  haqīqat  dekho
jañgaloñ  meñ  koī  pīchhe  se  bulā.e  to  'munīr'
muḌ  ke  raste  meñ  kabhī  us  kī  taraf  mat  dekho