apnī  hī  teġh-e-adā  se  aap  ghāyal  ho  gayā
chāñd  ne  paanī  meñ  dekhā  aur  pāgal  ho  gayā
vo  havā  thī  shaam  hī  se  raste  ḳhālī  ho  ga.e
vo  ghaTā  barsī  ki  saarā  shahr  jal-thal  ho  gayā
maiñ  akelā  aur  safar  kī  shaam  rañgoñ  meñ  Dhalī
phir  ye  manzar  merī  nazroñ  se  bhī  ojhal  ho  gayā
ab  kahāñ  hogā  vo  aur  hogā  bhī  to  vaisā  kahāñ
soch  kar  ye  baat  jī  kuchh  aur  bojhal  ho  gayā
husn  kī  dahshat  ajab  thī  vasl  kī  shab  meñ  'munīr'
haath  jaise  intihā-e-shauq  se  shal  ho  gayā