rañgoñ  kī  vahshatoñ  kā  tamāshā  thī  bām-e-shām
taarī  thā  har  makāñ  pe  jalāl-e-davām-e-shām
guldasta-e-jihāt  thā  nairañg-e-rāh-e-ishq
thā  ik  tilism-e-husn-e-ḳhayābān-e-dām-e-shām
aage  kī  manziloñ  kī  taraf  shaam  kā  safar
jaise  shaboñ  ke  dil  meñ  thā  shahr-e-qayām-e-shām
bāñdhe  hue  haiñ  vaqt  sabhī  us  ke  hukm  meñ
hai  jis  ḳhudā  ke  haath  meñ  kār-e-nizām-e-shām
dhuñdlā  ga.ī  hai  shaam  shab-e-ḳhām  se  'munīr'
ḳhālī  huā  kashish  kī  sharāboñ  se  jām-e-shām