ḳhvāb-o-ḳhayāl-e-gul  se  kidhar  jaa.e  aadmī
ik  gulshan-e-havā  hai  jidhar  jaa.e  aadmī
dekhe  hue  se  lagte  haiñ  raste  makāñ  makīñ
jis  shahr  meñ  bhaTak  ke  jidhar  jaa.e  aadmī
dekhe  haiñ  vo  nagar  ki  abhī  tak  huuñ  ḳhauf  meñ
vo  sūrateñ  milī  haiñ  ki  Dar  jaa.e  aadmī
ye  bahr-e-hast-o-būd  hai  be-gauhar-e-murād
gahrā.iyoñ  meñ  is  kī  agar  jaa.e  aadmī
parde  meñ  rañg-o-bū  ke  safar-dar-safar  'munīr'
in  manziloñ  se  kaise  guzar  jaa.e  aadmī