ik  tez  tiir  thā  ki  lagā  aur  nikal  gayā
maarī  jo  chīḳh  rail  ne  jañgal  dahal  gayā
soyā  huā  thā  shahr  kisī  saañp  kī  tarah
maiñ  dekhtā  hī  rah  gayā  aur  chāñd  Dhal  gayā
ḳhvāhish  kī  garmiyāñ  thiiñ  ajab  un  ke  jism  meñ
ḳhūbāñ  kī  sohbatoñ  meñ  mirā  ḳhuun  jal  gayā
thī  shaam  zahr-e-rañg  meñ  Duubī  huī  khaḌī
phir  ik  zarā  sī  der  meñ  manzar  badal  gayā
muddat  ke  ba.ad  aaj  use  dekh  kar  'munīr'
ik  baar  dil  to  dhaḌkā  magar  phir  sambhal  gayā