ik  ālam-e-hijrāñ  hī  ab  ham  ko  pasand  aayā
ye  ḳhāna-e-vīrāñ  hī  ab  ham  ko  pasand  aayā
benām-o-nishāñ  rahnā  ġhurbat  ke  ilāqe  meñ
ye  shahr  bhī  dilkash  thā  tab  ham  ko  pasand  aayā
thā  laal  huā  manzar  sūraj  ke  nikalne  se
vo  vaqt  thā  vo  chehra  jab  ham  ko  pasand  aayā
hai  qat-e-ta.alluq  se  dil  ḳhush  bhī  bahut  apnā
ik  had  hī  banā  lenā  kab  ham  ko  pasand  aayā
aanā  vo  'munīr'  us  kā  be-ḳhauf-o-ḳhatar  ham  tak
ye  turfa  tamāshā  bhī  shab  ham  ko  pasand  aayā