ugā  sabza  dar-o-dīvār  par  āhista  āhista
huā  ḳhālī  sadāoñ  se  nagar  āhista  āhista
ghirā  bādal  ḳhamoshī  se  ḳhizāñ-āsār  bāġhoñ  par
hile  ThanDī  havāoñ  meñ  shajar  āhista  āhista
bahut  hī  sust  thā  manzar  lahū  ke  rañg  laane  kā
nishāñ  āḳhir  huā  ye  surḳh-tar  āhista  āhista
chamak  zar  kī  use  āḳhir  makān-e-ḳhāk  meñ  laa.ī
banāyā  saañp  ne  jismoñ  meñ  ghar  āhista  āhista
mire  bāhar  fasīleñ  thiiñ  ġhubār-e-ḳhāk-o-bārāñ  kī
milī  mujh  ko  tire  ġham  kī  ḳhabar  āhista  āhista
'munīr'  is  mulk  par  aaseb  kā  saaya  hai  yā  kyā  hai
ki  harakat  tez-tar  hai  aur  safar  āhista  āhista