be-haqīqat  dūriyoñ  kī  dāstāñ  hotī  ga.ī
ye  zamīñ  misl-e-sarāb-e-āsmāñ  hotī  ga.ī
kis  ḳharābī  meñ  huā  paidā  jamāl-e-zindagī
asl  kis  naql-e-makāñ  meñ  rā.egāñ  hotī  ga.ī
tañgī-e-imroz  meñ  ā.inda  ke  āsār  haiñ
ek  zid  baḌh  kar  kisī  sukh  kā  nishāñ  hotī  ga.ī
dūsre  ruḳh  kā  pata  jis  ko  thā  vo  ḳhāmosh  thā
vo  kahānī  bas  isī  ruḳh  se  bayāñ  hotī  ga.ī
ik  sadā  uTThī  to  ik  aalam  huā  paidā  'munīr'
ik  kalī  mahkī  to  puurā  gulsitāñ  hotī  ga.ī