aur  haiñ  kitnī  manzileñ  baaqī
jaan  kitnī  hai  jism  meñ  baaqī
zinda  logoñ  kī  būd-o-bāsh  meñ  haiñ
murda  logoñ  kī  ādateñ  baaqī
us  se  milnā  vo  ḳhvāb-e-hastī  meñ
ḳhvāb  mādūm  hasrateñ  baaqī
bah  ga.e  rañg-o-nūr  ke  chashme
rah  ga.iiñ  un  kī  rañgateñ  baaqī
jin  ke  hone  se  ham  bhī  haiñ  ai  dil
shahr  meñ  haiñ  vo  sūrateñ  baaqī
vo  to  aa  ke  'munīr'  jā  bhī  chukā
ik  mahak  sī  hai  baaġh  meñ  baaqī