thakan  se  raah  meñ  chalnā  muhāl  bhī  hai  mujhe
kamāl  par  bhī  thā  maiñ  hī  zavāl  bhī  hai  mujhe
saḌak  pe  chalte  hue  ruk  ke  dekhtā  huuñ  maiñ
yahīñ  kahīñ  hai  tū  ye  ehtimāl  bhī  hai  mujhe
ye  mere  gird  tamāshā  hai  aañkh  khulne  tak
maiñ  ḳhvāb  meñ  to  huuñ  lekin  ḳhayāl  bhī  hai  mujhe
usī  ke  lutf  se  marne  se  ḳhauf  aatā  hai
usī  ke  Dar  se  ye  jiinā  muhāl  bhī  hai  mujhe
savād-e-shām-e-safar  hai  jalā  jalā  sā  'munīr'
ḳhushī  ke  saath  ajab  sā  malāl  bhī  hai  mujhe