koī  had  nahīñ  hai  kamāl  kī
koī  had  nahīñ  hai  jamāl  kī
vahī  qurb  o  duur  kī  manzileñ
vahī  shaam  ḳhvāb-o-ḳhayāl  kī
na  mujhe  hī  us  kā  pata  koī
na  use  ḳhabar  mire  haal  kī
ye  javāb  merī  sadā  kā  hai
ki  sadā  hai  us  ke  savāl  kī
ye  namāz-e-asr  kā  vaqt  hai
ye  ghaḌī  hai  din  ke  zavāl  kī
vo  qayāmateñ  jo  guzar  ga.iiñ
thiiñ  amānateñ  ka.ī  saal  kī
hai  'munīr'  terī  nigāh  meñ
koī  baat  gahre  malāl  kī