haiñ  ravāñ  us  raah  par  jis  kī  koī  manzil  na  ho
justujū  karte  haiñ  us  kī  jo  hameñ  hāsil  na  ho
dasht-e-najd-e-yās  meñ  dīvāngī  ho  har  taraf
har  taraf  mahmil  kā  shak  ho  par  kahīñ  mahmil  na  ho
vahm  ye  tujh  ko  ajab  hai  ai  jamāl-e-kam-numā
jaise  sab  kuchh  ho  magar  tū  diid  ke  qābil  na  ho
vo  khaḌā  hai  ek  bāb-e-ilm  kī  dahlīz  par
maiñ  ye  kahtā  huuñ  use  is  ḳhauf  meñ  dāḳhil  na  ho
chāhtā  huuñ  maiñ  'munīr'  is  umr  ke  anjām  par
ek  aisī  zindagī  jo  is  tarah  mushkil  na  ho