Muneer Niyazi

ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
ye kaisā nashsha hai maiñ kis ajab ḳhumār meñ huuñ
tū aa ke jā bhī chukā hai maiñ intizār meñ huuñ
makāñ hai qabr jise log ḳhud banāte haiñ
maiñ apne ghar meñ huuñ yā maiñ kisī mazār meñ huuñ
dar-e-fasīl khulā yā pahāḌ sar se haTā
maiñ ab girī huī galiyoñ ke marg-zār meñ huuñ
bas itnā hosh hai mujh ko ki ajnabī haiñ sab
rukā huā huuñ safar meñ kisī dayār meñ huuñ
maiñ huuñ bhī aur nahīñ bhī ajiib baat hai ye
ye kaisā jabr hai maiñ jis ke iḳhtiyār meñ huuñ
'munīr' dekh shajar chāñd aur dīvāreñ
havā ḳhizāñ kī hai sar par shab-e-bahār meñ huuñ
Top Urdushayar.com