Muneer Niyazi

ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006

ye kaisā nashsha hai maiñ kis ajab ḳhumār meñ huuñ

aa ke bhī chukā hai maiñ intizār meñ huuñ

makāñ hai qabr jise log ḳhud banāte haiñ

maiñ apne ghar meñ huuñ maiñ kisī mazār meñ huuñ

dar-e-fasīl khulā pahāḌ sar se haTā

maiñ ab girī huī galiyoñ ke marg-zār meñ huuñ

bas itnā hosh hai mujh ko ki ajnabī haiñ sab

rukā huā huuñ safar meñ kisī dayār meñ huuñ

maiñ huuñ bhī aur nahīñ bhī ajiib baat hai ye

ye kaisā jabr hai maiñ jis ke iḳhtiyār meñ huuñ

'munīr' dekh shajar chāñd aur dīvāreñ

havā ḳhizāñ hai sar par shab-e-bahār meñ huuñ

Top Urdushayar.com