dil  jal  rahā  thā  ġham  se  magar  naġhma-gar  rahā
jab  tak  rahā  maiñ  saath  mire  ye  hunar  rahā
sub.h-e-safar  kī  raat  thī  taare  the  aur  havā
saayā  sā  ek  der  talak  baam  par  rahā
merī  sadā  havā  meñ  bahut  duur  tak  ga.ī
par  maiñ  bulā  rahā  thā  jise  be-ḳhabar  rahā
guzrī  hai  kyā  maze  se  ḳhayāloñ  meñ  zindagī
duurī  kā  ye  tilism  baḌā  kārgar  rahā
ḳhauf  āsmāñ  ke  saath  thā  sar  par  jhukā  huā
koī  hai  bhī  yā  nahīñ  hai  yahī  dil  meñ  Dar  rahā
us  āḳhirī  nazar  meñ  ajab  dard  thā  'munīr'
jaane  kā  us  ke  rañj  mujhe  umr  bhar  rahā