hañsī  chhupā  bhī  gayā  aur  nazar  milā  bhī  gayā
ye  ik  jhalak  kā  tamāshā  jigar  jalā  bhī  gayā
uThā  to  jā  bhī  chukā  thā  ajiib  mehmāñ  thā
sadā.eñ  de  ke  mujhe  niiñd  se  jagā  bhī  gayā
ġhazab  huā  jo  añdhere  meñ  jal  uThī  bijlī
badan  kisī  kā  tilismāt  kuchh  dikhā  bhī  gayā
na  aayā  koī  lab-e-bām  shaam  Dhalne  lagī
vufūr-e-shauq  se  āñkhoñ  meñ  ḳhuun  aa  bhī  gayā
havā  thī  gahrī  ghaTā  thī  hinā  kī  ḳhushbū  thī
ye  ek  raat  kā  qissa  lahū  rulā  bhī  gayā
chalo  'munīr'  chaleñ  ab  yahāñ  raheñ  bhī  to  kyā
vo  sañg-dil  to  yahāñ  se  kahīñ  chalā  bhī  gayā