raushnī  dar  raushnī  hai  us  taraf
zindagī  dar  zindagī  hai  us  taraf
jin  azāboñ  se  guzarte  haiñ  yahāñ
un  azāboñ  kī  nafī  hai  us  taraf
ik  rihā.ish  ḳhvāhish-e-dil  kī  tarah
ik  numā.ish  ḳhvāb  kī  hai  us  taraf
jo  bikhar  kar  rah  gayā  hai  is  jagah
husn  kī  ik  shakl  bhī  hai  us  taraf
justujū  jis  kī  yahāñ  par  kī  'munīr'
us  se  milne  kī  ḳhushī  hai  us  taraf