rañj-e-firāq-e-yār  meñ  rusvā  nahīñ  huā
itnā  maiñ  chup  huā  ki  tamāshā  nahīñ  huā
aisā  safar  hai  jis  meñ  koī  ham-safar  nahīñ
rasta  hai  is  tarah  kā  jo  dekhā  nahīñ  huā
mushkil  huā  hai  rahnā  hameñ  is  dayār  meñ
barsoñ  yahāñ  rahe  haiñ  ye  apnā  nahīñ  huā
vo  kaam  shāh-e-shahr  se  yā  shahr  se  huā
jo  kaam  bhī  huā  hai  vo  achchhā  nahīñ  huā
milnā  thā  ek  baar  use  phir  kahīñ  'munīr'
aisā  meñ  chāhtā  thā  par  aisā  nahīñ  huā