shab-e-visāl  meñ  duurī  kā  ḳhvāb  kyuuñ  aayā
kamāl-e-fat.h  meñ  ye  Dar  kā  baab  kyuuñ  aayā
diloñ  meñ  ab  ke  baras  itne  vahm  kyuuñ  jaage
bilād-e-sabr  meñ  ab  iztirāb  kyuuñ  aayā
hai  aag  gul  pe  ajab  is  bahār-e-guzrāñ  meñ
chaman  meñ  ab  ke  gul-e-be-hisāb  kyuuñ  aayā
agar  vahī  thā  to  ruḳh  pe  vo  be-ruḳhī  kyā  thī
zarā  se  hijr  meñ  ye  inqalāb  kyuuñ  aayā
bas  ek  hogā  tamāshā  tamām  samtoñ  par
mirī  sadā  ke  safar  meñ  sarāb  kyuuñ  aayā
maiñ  ḳhush  nahīñ  huuñ  bahut  duur  us  se  hone  par
jo  maiñ  nahīñ  thā  to  us  par  shabāb  kyuuñ  aayā
uḌā  hai  shola-e-barq  abr  kī  fasīloñ  par
ye  is  balā  ke  muqābil  sahāb  kyuuñ  aayā
yaqīn  kis  liye  us  par  se  uTh  gayā  hai  'munīr'
tumhāre  sar  pe  ye  shak  kā  azaab  kyuuñ  aayā