kaisī  kaisī  āyateñ  mastūr  haiñ  nuqte  ke  biich
kyā  ghane  jañgal  chhupe  baiThe  haiñ  ik  daane  ke  biich
rafta  rafta  raḳhna  raḳhna  ho  ga.ī  miTTī  kī  geñd
ab  ḳhalījoñ  ke  sivā  kyā  rah  gayā  naqshe  ke  biich
maiñ  to  bāhar  ke  manāzir  se  abhī  fāriġh  nahīñ
kyā  ḳhabar  hai  kaun  se  asrār  haiñ  parde  ke  biich
ai  dil-e-nādāñ  kisī  kā  rūThnā  mat  yaad  kar
aan  Tapkegā  koī  aañsū  bhī  is  jhagḌe  ke  biich
saare  aḳhbāroñ  meñ  dekhūñ  haal  apne  burj  kā
ab  mulāqāt  us  se  hogī  kaun  se  hafte  ke  biich
maiñ  ne  'anvar'  is  liye  bāñdhī  kalā.ī  par  ghaḌī
vaqt  pūchheñge  ka.ī  mazdūr  bhī  raste  ke  biich