Anwar Masood

darmiyan gar na tera wada-e-farda hota

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
darmiyāñ gar na tirā vāda-e-fardā hotā
kis ko manzūr ye zahr-e-ġham-e-duniyā hotā
kyā qayāmat hai ki ab maiñ bhī nahīñ vo bhī nahīñ
dekhnā thā to use duur se dekhā hotā
kāsa-e-zaḳhm-talab le ke chalā huuñ ḳhālī
sañg-reza hī koī aap ne pheñkā hotā
falsafa sar-ba-garebāñ hai baḌī muddat se
kuchh na hotā to ḳhudā jaane ki phir kyā hotā
ham bhī nau-ḳhez shuāoñ kī balā.eñ lete
apne zindāñ meñ agar koī darīcha hotā
aap ne hāl-e-dil-e-zār to pūchhā lekin
pūchhnā thā to koī us kā mudāvā hotā
dast-e-muflis se tahī-tar hai safīna 'anvar'
is pahuñchne se to sāhil pe na pahuñchā hotā
Top Urdushayar.com