darmiyāñ  gar  na  tirā  vāda-e-fardā  hotā
kis  ko  manzūr  ye  zahr-e-ġham-e-duniyā  hotā
kyā  qayāmat  hai  ki  ab  maiñ  bhī  nahīñ  vo  bhī  nahīñ
dekhnā  thā  to  use  duur  se  dekhā  hotā
kāsa-e-zaḳhm-talab  le  ke  chalā  huuñ  ḳhālī
sañg-reza  hī  koī  aap  ne  pheñkā  hotā
falsafa  sar-ba-garebāñ  hai  baḌī  muddat  se
kuchh  na  hotā  to  ḳhudā  jaane  ki  phir  kyā  hotā
ham  bhī  nau-ḳhez  shuāoñ  kī  balā.eñ  lete
apne  zindāñ  meñ  agar  koī  darīcha  hotā
aap  ne  hāl-e-dil-e-zār  to  pūchhā  lekin
pūchhnā  thā  to  koī  us  kā  mudāvā  hotā
dast-e-muflis  se  tahī-tar  hai  safīna  'anvar'
is  pahuñchne  se  to  sāhil  pe  na  pahuñchā  hotā