merī  qismat  ki  vo  ab  haiñ  mire  ġham-ḳhvāroñ  meñ
kal  jo  shāmil  the  tire  hāshiya-bardāroñ  meñ
zahr  ījād  karo  aur  ye  paiham  socho
zindagī  hai  ki  nahīñ  dūsre  sayyāroñ  meñ
kitne  aañsū  haiñ  ki  palkoñ  pe  nahīñ  aa  sakte
kitnī  ḳhabreñ  haiñ  jo  chhaptī  nahīñ  aḳhbāroñ  meñ
ab  to  dariyā  kī  tabī.at  bhī  hai  girdāb-pasand
aur  vo  pahlī  sī  sakat  bhī  nahīñ  patvāroñ  meñ
aap  ke  qasr  kī  jānib  koī  dekhe  tauba
jurm  sābit  ho  to  chun  dījiye  dīvāroñ  meñ
aaj  tahzīb  ke  tevar  bhī  haiñ  caroñ  jaise
dafan  ho  jaa.e  na  kal  apne  hī  ambāroñ  meñ
apnī  āvāz  ko  bhī  kaan  taraste  haiñ  mire
jins-e-guftār  liye  phirtā  huuñ  bāzāroñ  meñ
tohmateñ  hazrat-e-insāñ  pe  na  dhariye  'anvar'
dushmanī  hai  ki  chalī  aatī  hai  talvāroñ  meñ