bas  yūñhī  ik  vahm  sā  hai  vāqi.a  aisā  nahīñ
aa.ine  kī  baat  sachchī  hai  ki  maiñ  tanhā  nahīñ
baiThiye  peḌoñ  kī  utran  kā  alaav  tāpiye
barg-e-sozāñ  ke  sivā  darvesh  kuchh  rakhtā  nahīñ
uf  chaTaḳhne  kī  sadā  se  kis  qadar  Dartā  huuñ  maiñ
kitnī  bāteñ  haiñ  ki  dānista  jinheñ  sochā  nahīñ
apnī  apnī  sab  kī  āñkheñ  apnī  apnī  ḳhvāhisheñ
kis  nazar  meñ  jaane  kyā  jachtā  hai  kyā  jachtā  nahīñ
chain  kā  dushman  huā  ik  mas.ala  merī  taraf
us  ne  kal  dekhā  thā  kyuuñ  aur  aaj  kyuuñ  dekhā  nahīñ
ab  jahāñ  le  jaa.e  mujh  ko  jaltī-bujhtī  aarzū
maiñ  bhī  is  jugnū  kā  pīchhā  chhoḌne  vaalā  nahīñ
kaisī  kaisī  pursisheñ  'anvar'  rulātī  haiñ  mujhe
ketiyoñ  se  kyā  kahūñ  maiñ  abr  kyuuñ  barsā  nahīñ